Bismillahir Rahmanir Raheem, Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh. Aap log jante hi honge ke surah fatiha ki islam me kya ahmiyat hai. Islam ki sabse paak kitab ki shuruat bhi surah fatiha, jise hum alhamdu surah bhi kehte hai, use padh ke karte hai aur hum har namaz me bhi ise padhte hai.
Alhamdulillah, humme se bohot se logon ko surah fatiha yaad bhi hai aur use padhte bhi hai lekin kya hume iska tarjuma pata hai. Alhamdu surah ki tafseer kya hoti hai? Iska tarjuma kya hota hai? Nahi pata hoga isliye to aap yeh post padh rahe hai. Chaliye aaj hum surah fatiha ka tarjuma padhenge woh bhi hindi aur urdu me.
Surah Fatiha Ke Bare Me-
Surah fatiha makkah me nazil hui thi isme 7 aayat aur 1 ruku hai. Surah fatiha ko log aur bhi kai namo se kehte hai jaise ke- Alhamdu Surah, Fatiah Surah, Alhamdo Shareef, Surat-ul-Tafweed ….
Surah fatiha me allah tala ki tareef, unki badai, unki rehmat, unki ibadat karna aur ek nek insan kaise bana jaye is bare me bataya gaya hai. Is surah me duniya ka khatam hona aur achchai aur burai ke hisab ke bare me bhi bataya gaya hai, jisse seekh le ke hum ek behtar insan ban sakte hai. Chaliye pehle ise padhna seekhte hai phir iska tarjuma dekhenge.
Surah Fatiha in Hindi | Urdu –
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِ
बिस्मिल्ला-हिर्रहमा-निर्रहीम / Bismillahir Rahmanir Raheem
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِیْنَۙ(۱
1-अल्हम्दुलिल्लहि रब्बिल आलमीन / Alhamdulillahi Rabbil Aalameen
الرَّحْمٰنِ الرَّحِیْمِۙ(۲
2- अर रहमा निर रहीम / Arrahmanir Raheem
مٰلِكِ یَوْمِ الدِّیْنِؕ(۳
3- मालिकि यौमिद्दीन / Maliki Yaumiddeen
اِیَّاكَ نَعْبُدُ وَ اِیَّاكَ نَسْتَعِیْنُؕ(۴
4- इय्याक न अबुदु व इय्याका नस्तईन / Iyyaka Nabudu Waiyyakanastain
اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِیْمَۙ(۵
5- इहदिनस् सिरातल मुस्तक़ीम / Ihdinas Siratal Mustaqeem
۶)صِرَاطَ الَّذِیْنَ اَنْعَمْتَ عَلَیْهِمْ
6- सिरातल लज़ीना अन अमता अलय हिम / Siratallazina Anamta Alaihim
غَیْرِ الْمَغْضُوْبِ عَلَیْهِمْ وَ لَا الضَّآلِّیْنَ۠(۷
7- गैरिल मग़दूबी अलय हिम् व लद दाालीन / Ghairil Maghdubi Alaihim Waladdalleen
Agar aap alhamdu surah ka explanation video urdu me sunna chahte hai to niche diye gaye video me aap surah fatiha ki tilwat aur urdu tafseel bhi sun sakte hai.
Uper diye gaye video me apne surah fatiha ki tilawat suni aur uska urdu me tarjuma bhi suna agar apko urdru padhna nahi aata hai to aap surah fatiha ka translation niche hindi me bhi padh sakte hai.
Surah Fatiha Hindi Translation[Meaning]-
शुरू अल्लाह का नाम ले कर जो बड़ा मेहरबान निहायत रहम वाला है
1- सब तरह की तारीफ़ अल्लाह ही के लिए है जो तमाम मख्लूक़ात का परवरदिगार है
2-बड़ा मेहरबान निहायत रहम वाला
3- इन्साफ के दिन का हाकिम
4- ऐ परवरदिगार हम तेरी ही इबादत करते है और तुझ ही से मदद मांगते है
5- हमको सीधे रास्ते चला
6-उन लोगो के रास्ते जिन पर तू अपना फ़ज़्लो करम करता रहा
7- ना उनके जिन पर गुस्से होता रहा और ना गुमराहों के
Surah Fatiha Urdu Tafseer[Tarjuma]-
Shuru Allah Ka Naam Le Kar, Jo Bada Meharban Nihayat Reham Wala Hai
1- Sab Tarah Ki Tareef Allah Hi Ke Liye Hai, Jo Tamam Makhluqat Ka Parwardigar Hai
2- Bada Meharban Nihayat Reham Wala Hai
3- Insaf Ke Din Ka Hakim
4- Ae Parwardigar Hum Teri Hi Ibadat Karte Hai Aur Tugh Hi Se Madad Mangte Hai
5- Humko Seedhe Raste Chala
6- Un Logon Ke Raste Jin Par Tu Apna Fazal-o-Karam Karta Hai
7-Na Unke Jin Par Gusse Hota Raha Aur Na Gumraho Ke
Mene yeh post likhte waqt kaafi kuch seekha aur me umeed karta hoo ke yeh post padhne ke baad aap bhi seekhen honge. Ek hadees hai –
“Behtreen Sadqa Ye Hai Ke Koi Musalmaan Ilm Seekhe, Phir Apne Musalmaan Bhaai Ko Sikhaye..”
– (Ibn-e-Maaja : 243)
Mene jo bhi seekha, Mene yeh post likh ke apna haq ada kar diya, agar apne bhi is post se kuch seekha hai to aap is post ko share zaroor kare take koi aur musalman bhai ya behen bhi isse fayda utha sake aur comment me hame zaroor bataye ke aap aur kya seekhna chahte hai. Inshaallah aapse phir mulaqat hogi dua me yaad rakhiyega. Allah Hafiz.