Bismillahir Rahmanir Raheem, Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh, Islam ko manne walo ke liye, 6 kalima aur unka meaning kya hota hai yeh janna bohot hi zaroori hai kyunki agar koi gair muslim bhai ya behen islam qabool karna chahta hai to sabse pehle woh pehla kalima padh ke hi to allah pe iman late hain, isliye iska aur bache 5 kalma ka meaning apko zaroor pata hona chahiye. To chailiye pehle 6 kalma ko padh lete hai phir uska meaning bhi samajh lete hai.